Tuesday 24 November 2020

MUKTESHWAR DHAM-KUMAU PAHADON KE NA BHULNE WALE DRISHYA

 MUKTESHWAR DHAM-KUMAU PAHADON KE NA BHULNE WALE DRISHYA 


HELLO DOSTO

                                                      I AM YOUR TECH GURU AND AUTHOR AKSHAY. TO AAJ HUM BAAT KARNE WALE HAIN MUKTESHWAR DHAM-KUMAU PAHADON KE BHOT HI ADBHUT DRISHYA KE BARE MEIN. TO YEH JANNE KE LIYE POST LAST TAK PADHEIN. TOH AAIYE DOSTO BINA DERI KE SHURU KARTE HAIN:-
                                                                   



UTTARANCHAL KO DEVBHUMI KHA JATA HAI. SACH MANIYE ISME KINCHIT BHI ATISHYOKTI NAHI. KUMAUN VA GARHWAL MANDALON MEIN BANTI, HIMALAYA PARVAT SHRANKHLAON SE GHIRI, YE APRATIM GHATIYAN KEVAL DEVON KI BHUMI, SWARG HI HO SAKTI HAI. SAMBHAVTAH ISILIYE SARVATRA DEVASTHANON SE, MUKHYATAH BHAGWAN SHIV KE MANDIRON SE SUSHOBHIT HAI YE BHUMI. SUBAH SUBAH JAB SURYA KI PAHLI KIRAN IN PARVATON KO SAHLA KAR DHEERE SE ANDHERE KI PARAT KO SARKATI HAI. HIMALAYA KA MANOHAR MUKH PRAKAT HOKAR HAMEIN MANTRAUGDHA KAR DETA HAI. AISA PRATIT HOTA HAI MANO SAKSHAT SWARG KE DARSHAN PRAPT HO GAYE HO. INHI MANORAM DRISHYON KO NIHARTE HAMNE UTTARAKHAND KE KUMAUN KHSETRA MEIN STHIT PRASHIDHA JHILON KE SANIDHYA MEIN KUCH DIN BITAYE. USKE BAAD HUM MUKTESHWAR KE LIYE RAWANA HO GAYE.
                                                                            


ALMODA SE MUKTESHWAR JANEWALE MARG PAR STHIT JUNGLE KE DUSRI OR,
SUKHTAL GAON MEIN HAMARE RAHNE KI VYAVASTHA KI GAYI THI. IS GAON TAK PAHOCHNE KE LIYE HAMARE PAAS DO OPTION THE. MUKTESHWAR SHAHAR KE BHEETAR SE AUR JUNGLE HOTE HUE. BINA SOCHE SAMJHE  HUMNE ROMANCH SE BHARPOOR JUNGLE KI  SAIR KARTE SUKHTAL PAHUCHNE KA NISHCHAY KIYA. JUNGLE KE SURAKSHA JANCH CHOWKI KE BAHI PAR HUMNE APNA PANJIKARAN KARVAYA. YAHAN HAMEIN SURAKSHA SAMBANDHI NIRDESH DIYE GAYE. JINKE ANUSAR 10 K.M. DUR STHIT IS VAN KE BAHIRGAMAN DWAR PAR PAHOCHNE TAK HAMEIN VAHAN SE UTARNE ATHVA MARG PAR TAHALNE KI SAKHT MANAHI THI.
 IS JUNGLE KE ANDER GARI SE SAIR KARNA KISI SWAPNA SE KAM NAHI THA.
MARCH KA MAHINA HONE KE KARAN BURUNSH VRIKSH PUSHPON SE AACHHADIT THE. APNI SUNDARTA KI CHARAMSEEMA PAR THE. GHANE HARE DEVDAR VRIKSHON KE BEECH SE JHANKTE GAHRE LAL RANG KE BURUNSH KE PUSHP EK ADBHUT  CHHATA BIKHER RAHE THE. JUNGLE KE SANKARE MARG PAR VRIKSHON KI SAKHAYEIN AACHHADIT HOKAR HAMEIN APNI CHHANV MEIN SAMET RAHI THI. HAR DISHA MEIN JUNGLE RAHASYAMAYI PRATIT HO RAHA THA, MANO HAR JHUND EK NAYI KAHANI CHHUPAYE HUE THA.
                                                                               PIC

GHANE JUNGLE SE BAHAR NIKANLNE TAK SURYAST KA SAMAY HO CHUKA THA. DUBTE SURAJ KE DHUNDLE PRAKASH MEIN JAB JUNGLE KI OR MUR KAR DEKHA TAB WOH AUR BHI MAYAVI PRATIT HONE LAGA. DUBTE SURYA KE SANDHYA PRAKASH MEIN PAHADON KI KEVAL CHHAYA DIKHAI PAD RAHI THI JIN PAR UNCHE DEVDAR KE VRIKSHON KE KEVAL REKHA KRITI DIKHAI PAD RAHI THI.
JUNGLE SE KUCH NIYAT STHANON PAR, JHADIYO KO SAAF KAR JUNGLE VIBHAG KE KARMCHARIYON AUR UNKE PARIVAR JANO KE LIYE NIVAS KA PRABANDH KIYA GAYA HAI. YAHAN LOG BINA KISI DAR KE BAHAR GHUM SAKTE HAIN. EXIT GATE KE PAAS TOURIST KI SUVIDHA KE LIYE SARAY AUR VISHRAM GRAH BANAYE GAYE HAIN.
JUNGLE SE BAHAR AATE HI HUM ALMODA MARG PAR THE JAHAN " FROZAN WOODS" NAAM KI HAMARI SUNDAR SI KUTIYA STHIT THI.
                                                

                 MUKTESHWAR DHAM

 


MUKTESHWAR DHAM EK PRACHIN SHIV MANDIR HAI. JISKE NAAM PAR HI IS SHAHAR AUR AASPAS KE ILAKE KO MUKTESHWAR KAHA JATA HAI. ANYA KAI PRACHIN MANDIRON KI TARAH YAH MANDIR BHI EK PAHADI KE SHIKHAR PAR BANAYA GAYA HAI. YAHAN SE HIMALAYA AUR HARIYALI BHARI GHATIYON KA DRISHYA BAHOT KHUBSURAT DIKHAI PADTA HAI. YAH MANDIR APNE AAP MEIN EK CHHOTA SA MANDIR HAI. ISKE CHARON OR KAI AUR CHHOTE MANDIR STHIT HAIN.
           INME SE EK MANDIR BHAGWAN SHIV KI ARDHANGINI, DEVI PARVATI KO SAMARPIT HAI. EK MANDIR KO RAM DARBAR KI UPMA DI GAYI HAI. YAHAN BHAGWAN  RAM, DEVI SITA, BHRATA LAKSHMAN, AUR SEVAK HANUMAN KI PRATIMAYEN SATH SATH RAKHI HUI HAIN. BHAGWAN VISHNU KE BHAVI, DASVEIN AVTAR KALKI KI BHI PRATIMA STHAPIT HAI. SARE MANDIR BAHOT CHHOTE CHHOTE HAIN. AUR INKI SANRACHNA APEKSHAKRIT PRACHIN BHI NAHI HAI. IN MANDIRON KE CHARON KE OR ALAG ALAG AAKARON KI GHANTIYAN BANDHI HUI HAIN. YAH EK STHANIYA PRATHA HAI. JISME BHAKTGAN APNI ICHHA KI PURTI HETU YAHAN GHANTIYAN BANDHTE HAIN. YAHI PRATHA HUMNE JAGESHWAR DHAM KE MARG PAR STHIT GOLU DEVTA MANDIR MEIN BHI DEKHI.

MUKTESHWAR DHAM MEIN EK SADHU KI SAHAYTA SE HUMNE MANDIR KO BARIKI SE JANA. WOH HUMSE ITNI DHIMI AWAZ MEIN CHARCHA KAR RAHE THE MANO BADI TAPASYA SE ARJIT SHAKTI KA HYAS NAHI KARNA CHAHTE THE. UNHONE HAMARE HAR PRASHNA AUR JIGYASA KA MUSKRAKAR UTTAR DIYA.
PARANTY AWAZ DHIMI HONE KE KARAN MUJHE SAMAJHNE ME THODI KATHINAI HO RAHI THI.

MUKTESHWAR KA ARTH HAI MUKTI KE DEVTA! YEH HAMEIN JANM AUR MRITYU KE CHAKRA SE MUKTI DILA KAR MOKSH PRADAN KARTE HAIN.

MUKTESHWAR MANDIR PARISAR MEIN LAGE PHALAK DWARA YAH JANKARI PRAPT HUI KI SIKH GURU NANAK DEV JI NE IS STHAL KI YATRA KI THI. USKE BAAD YAH STHAL SIKH SAMUDAY KE LOGON KE LIYE BHI ATIMAHATVAPURNA DHARMIK STHAL HAI. GYM CORBATE  NE BHI APNE SANSMARNO MEIN APNI MUKTESHWAR YATRA KA ULLEKH KIYA HAI. WOH ISE 'MUKTESAR' KAHTE THE.


DOSTON I HOPE AAP SABKO HAMARI YEH POST BAHOT PASAND AND PLEASE AAP HAMEIN COMMENT BOX MEIN COMMENT KARKE JARUR BTAYEIN KI AAPKO HAMARI YEH POST KAISI LAGI AND PLEASE SUPPORT KAREIN JYADA SE JYADA SHARE KAREIN.


Latest
Next Post

0 comments: